Uncategorized

Ramzan ki Fazilat in Hindi SMS – Ramadan ke Roze ki Fazilat in Urdu & Arabic for WhatsApp

Ramzan ki Fazilat in Hindi

रमजान का पवित्र महीना हर मुसलमान के लिए बहुत आयात है। मुस्लिम समुदाय के बीच यह पाक महीना मनाया जाता है, हर दिन सूरज उगने से सूर्यास्त तक उपवास मनाया जाता है। रमजान के दौरान उपवास इस्लाम के पांच स्तंभों में से एक है और बुराइयों से बचने का स्रोत है। आइये देखें allah k zikar ki fazilat, fazilat meaning, allah ka zikar ki fazilat, 99 names of allah ki fazilat, surah kausar ki fazilat, surah kausar ki fazilat in hindi, शायरी, एसएमएस, साहरी, स्टेटस, एसएमएस हिंदी फॉण्ट, हिंदी और उर्दू शायरी आदि जिन्हे आप फेसबुक, व्हाट्सप्प पर अपने दोस्त व परिवार के लोगो के साथ साझा कर सकते हैं|

Ramzan ke roze ki fazilat in hindi

आइये अब हम आपके सामने पेश करने जा रहे हैं ramzan ki fazilat urdu, ramzan ki fazilat hadees, ramzan ki hadees in hindi, Sehri Mubarak Shayari, ramzan ki fazilat in english, roze ki fazilat in urdu, pdf download, ramzan ki fazilat in hindi mp3, ramzan ki baatein hindi, Sehri Mubarak Images, roza ki fazilat note in urdu paragraph, Ramadan Hadees Images, ramzan ki ibadat,  Ramzan k ashron ki dua, ramzan fazilat message to friends, ramzan fazilat in tamil sms, ramadan fazilat wishes messages in tamil का full collection जिन्हे आप whatsapp व facebook पर share कर सकते हैं|

(“Bismillah-Hirrahman-Nirrahim: Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai”) Share on X Tamam Tareefe Uss Allah Azawazzal Ke Liye Jo Tamam Jahano Ko Banana Wala Aur Usey Palney Wala Hai, Aur Durood-o-Salaam Ho Uskey Aakhri Nabi-e-Kareem (ﷺ) Par.. Share on X Roze ki fazilat Me Ba-kasrat Hadeesen Aain Hai Huzoor Sarkare Do Aalam janabe Muhammadur Rasulullah Sal'lallahu Alaihi Wasallam ke Muqaddas irshadaat Roze Ki Fazilat Me Ye Hain Share on X

Ramzan ke roze ki fazilat in urdu

Ramzan ki fazilat hindi me

★ Ramzan Ki Ahmiyat ?

*Sabse Pahli Baat Ke – “Kisi Cheez Ki Agar Hume Ahmiyat Na Maloom Ho Tou Fir Uska Fayda Bhi Hum Nahi Utha Patey Hai..” Share on X *Aur Dusri Baat Ke – “Kisi Cheez Ke Agar Masail Maloom Na Ho Tou Uska Sahi Istemaal Bhi Hum Nahi Kar Patey Hai ..” Share on X * Usi Tarha Agar Hum “Ramzan” Ke Fazail Nahi Jaan Sakenge Tou Uski Ahmiyat Nahi Jaan Sakenge, Aur Uske Masail Nahi Janenge Tou Uska Sahi Fayda Hum Nahi Utha Payenge .. Share on X *Tou Wo Mahina Jo Humpar Aanewala Hai Uski Kya Ahmiyat Hai, Uski Kya Fazail Hai In’sha’Allah Is Unwan Me Hum Aapki Khidmat Me Mukhtasar Sa Rakhne Ki Koshish Karenge,.. Share on X .. Aayiye Nabi-e-Kareem (ﷺ) Aur Sahaba Ke Liye Ramzan Kaise Hua Karte They Wo Jaan Letey Hai,… Wohi Asal Mayar Hai Humare Liye ,.. Share on X

Ramzan ki Fazilat

Mahe ramzan ki fazilat in hindi

☼ Nabi-e-Kareem (ﷺ) Aur Sahaba Ke Liye Ramzan Ki Ahmiyat Kya Thi ?

Aahadees Me Aata Hai Ke “Jo Hi Ramzan Ka Mahina Kareeb Aata Tou Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kamarbasta Ho Jatey”
(Sahih Bukhari , Vol 3, 2023 )

» Yaani Tayyar Ho Jaatey,..
» Sadqe Aur Khairaat Ke Liye Tayyar Ho Jatey,..
» Rozo Ke Liye Tayyar Ho Jaatey ,..
» Qiamullail Ke Liye Tayyar Ho Jaatey ,..
» Zikr-O-Azkar Ke Liye Tayyar Ho Jatey ,..
» Tilawatey Quraan Me Ijaafe Ke Liye Tayyar Ho Jatey,..

• Har Kism Ki Ibadati Tayyari Aap (ﷺ) Ki Aur Sahaba Ki Hoti Thi,..
• Jab Ramzan Aa Raha Hai Tou Unki Zehno Me Ibadatey Ghum Rahi Hai ,..
• Ke Kaise Mere Roze Mukammil Ho Khusu Aur Khuju Ke Saath Ho ,.. Koi Kami Na Aaye ,..

*Isi Tayyariyo Me Sahaba Lag Gaye ,.. *Nabi-e-Karam (ﷺ) Lag Gaye ,.. *Ummaha-Tul-Mominin Lag Gaye,.. *Sahabiyat Lag Gayi ,..
• Pura Mu’ashra Isi Tayyari Me Laga Ke Ramzan Me Kaisi Ibadate Ho, Kaise Mai Jyada Se Jyada Ibadatey Karu ,..
Ye Thi Unki Tayyari ,..

# Kitna Fark Hai Humari Aur Unki Tayyariyo Me ? ..
* Humari Tayyario Me Siway Duniya Ke Aur Kuch Nahi ,..
* Aur Unki Tayyariyo Me Siway Aakhirat Ke Aur Kuch Bhi Nahi ,..

… Tou Ye Ek Mousam Aa Raha Hai Hum Par ,.. Ek Behtareen Mouka Hume Mil Raha Hai ,.. *Ek Jabardast Mahina Aa Raha Hai ,..

• Ye Bohot Hi Afsos Ki Baat Hai Ke Iss Mahine Ki Aamad Par Siwaye Duniya Ke Humare Jehno Me Kuch Bhi Nahi Aata ,..

• Aisa Kyu Hua? Kyu Humne Ramzan Ki Asal Ahmiyat Nahi Jaana ?
*Isiliye Kyunki Humne Ramzan Ka Asal Maksad, Iski Ahmiyat , Iski Fazilat Aur Masail Ki Hakikat Ko Jan’na Jaruri Na Samjha ! Jiski Wajah Se Haq Dhire Dhire Humari Jindagiyo Se Faramosh Hota Gaya Aur Jahalat Hum Par Aati Rahi ,..
* * * * *

Ramzan ke roze ki fazilat in hindi

Ramzan ki fazilat in hindi sms

आप ramzan mubarak के पाक महीने में आइये देखें कुछ new, top, Latest, attitude, ramzan ki fazilat status for Whatsapp, रमजान की फ़ज़ीलत को उर्दू भाषा व Urdu, Hindi, English, sanskrit, Tamil, Telugu, Marathi, Punjabi, Gujarati, Kannada, Malayalam, Nepali के Language व Font में साल 2007, 2008, 2009, 2010, 2011, 2012, 2013, 2014, 2015, 2016, 2017, 2023 के अनुसार बधाई सन्देश, शुभकामनाये, एसएमएस, साहरी, sayaree, इमेजेज, उद्धरण, messages, msg, एसएमएस हिंदी फॉण्ट, हिंदी और उर्दू शायरी,विशेष पिक्स, फोटो, Quotes, Status, Poem के Image, SMS, Messages, Wishes, Wallpapers, Photos, Pictures, वॉलपेपर आदि जिन्हे आप फेसबुक, व्हाट्सप्प पर अपने दोस्त व परिवार के लोगो के साथ साझा कर सकते हैं|

★ Roze Ka Maksad:

Allah Rabbul Izzat Ne Surah Baqraah Ki Aayat 183 Me Farmaya Aur Kaha:

“Aye Emaan Walo Tum Par Roze Farz Kiye Gaye, Jaise Tumse Pichli Ummato Par Farz Kiye They Ta’ake Kahi Tum Taqwa(Parhezgaari) Ikhtiyar Karo..”
– (Al-Quraan 2:183)

… Tou *Taqwa Roze Ke Maksad Hai,.. *Taqwa Ramzan Ka Maksad Hai ,.. *Taqwa Roze Ka Paigaam Hai ,.. *Taqwa Ramzan Ka Paigaam Hai ,..

Aur Allah Rabbul Izzat Ne Baar-Baar Iss Paigaam Ko Dohraaya –
“Aye Wo Logo Jo Imaan Laye Ho Taqwa(Parhezgaari) Ikhiyar Karo” Aur Ye Aayat Quraan Me Baar–Baar Repeat Hui Hai ,..

….Tou Gour Karne Waali Baat Hai Ke Taqwa Yaani Allah Ka Darr Jo Ki Bohot Hi Ahmiyat Waali Baat Hai Jiska Paigam Hume Diya Gaya,..

• Isiliye Kyunki:
*Allah Ka Darr Jab Insan Me Aa Jata Hai Tou Insan Haram Aur Halal Ki Tamiz Karne Lagta Hai ,..
*Deeno Shariyat Aur Duniyawi Fizul Kaamo Me Fark Karne Lagta Hai ,.. *Duniya Par Aakhirat Ko Tarji Deney Lagta Hai,,.. *Dhokeybazi , Jhuth Aur Tamam Buiri Khaslato Se Ahtiyat Karta Hai ,..

*Tou In’sha’Allah-Ul-Azeez! Iss Unwan Me Hum Iske Taaluk Se Mukhatar Sa Bayan Karne Ki Koshish Karenge,..

Ramzan ki Fazilat in Hindi SMS

Ramzan mubarak ki fazilat in hindi

★ Ramzan Ki Fazilat kya hai ?

*Waise Tou Ramzan Ki Fazilatey Beshumar Hai Lekin Tamam Fazilatey Iss Mukhtasar Se Wakt Me Humare Liye Ginwana Mushkil Hai ,.. Lihaja Hum Iss Unwaan Me Chand Aham Fazilato Ka Hi Zikr Karne Wale Hai ?.

★ 1st – FAZILAT: Iss Mahine Ko Farz Ibadat Ke Liye Muntakhib Kiya:

*Tou Sabse Pehli Ahmiyat Iss Mahine Ramzan Ki Ye Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Iss Mahine Ko Apni Farz Ibadat “Roze” Ke Liye Intekhab Kiya,..
Bus Yahi Samjhne Ke Liye Kaafi Hai Ke Iski Fazilat Kya Hai ?

♥ Mafhoom-e-Hadees Hai Ke:
Hazrate Abdullah Bin Umar (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah ﷺ Ne Farmaya –
“Islaam Ke Sutoon Paanch (5) Hai,..”
(1). Pehla Ye Ke Allah Hi Ki Ibadat Ki Jaye Aur Uske Siwa Tamaam Jhoote Allahon Ka Inkaar Kiya Jaye,
(2). Namaaz Parhna,
(3). Tisre Zakaat Dena,
(4). Baitullah Ka Hajj Karna, Aur
(5). Ramzan Ke Roze Rakhna ,…
– (Sahih Muslim Sharif)

*Tou Islam Me Asal 5 Faraiz Ibadat Hai Jisme Se “Roza” Bhi Ek Farz Ibadat Hai,. Aur Isi Ibadat (Roze) Ke Liye Allah Rabbul Izzat Ne Iss Mahine (Ramzan) Ka Intekhab Kiya Yehi Ek Badi Aham Fazilat Hai ,..
.. Tou Hume Chahiye Ke Iss Farz Ibadat Ko Khushu Aur Khuju Ke Sath Takmeel Tak Pohchaye Taa’Ki Ye Jeddo Jehad Humare Liye Bayase Maghfirat Ho!!

♥ In’sha’Allah-ul-Azeez! Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey !!!

About the author

admin