Uncategorized

Ramzan ki Pehli Shab e Qadr – Ramzan shab e qadr sms – Shab e qadr ki fazilat in hindi

Ramzan ki Pehli Shab e Qadr

रमज़ान का पाक महीना चल रहा है| इस महीने में रमजान शब इ क़द्र की असल रात यानी की Shabe Qadr Ki Asal Raat Kab Aati Hai ? जानने के लिए हमने आपको निचे साड़ी जानकारी बताई है| आइये देखें surah qadr, Shab e Qadr ki Raat ki Ibadat, 27 ramzan shab e qadr nawafil, Shab e Qadr ki Ibadat ka Tarika, Shab e Qadr ko kya karna chahiye, Lailatul Qadr Mein Kaunsi Ibadat Karna Sab Se Behtar Hai शायरी, एसएमएस, साहरी, स्टेटस, एसएमएस हिंदी फॉण्ट, हिंदी और उर्दू शायरी आदि जिन्हे आप फेसबुक, व्हाट्सप्प पर अपने दोस्त व परिवार के लोगो के साथ साझा कर सकते हैं|

Ramzan ki shab e qadr

आइये देखें shab e qadr ki raat ki namaz, shab e qadr ki fazilat in hindi, shab e qadr ki namaz, shab e barat, shab e barat 2022, Ramadan Hadith Images, teesra ashra ki dua, Ramzan ki Fazilat in Hindi, shab e qadar ki raat ki dua mp3 in urdu & islamic fonts इन्हे आप अपने दोस्तों या परिवार वालो के साथ WhatsApp, Facebook, Instagram व Messenger, instagram आदि पर सेंड कर सकते हैं|

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Aayesha (RaziAllahu Anha) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya

Shab-e-Qadr Ko Ramzan Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato me Talaash Karo. – (Sahih Bukhari, Vol 3, 2023 ) Share on X

Shab e qadr 2023

Aakhri Ashre Ki Taaq Raato se muraad 21, 23, 25, 27, 29 ye paanch raate hai, aur Shabe Qadr inme se koi bhi raat ho sakti hai, lihaja bilkhusus ye pancho raate jaagkar hume Shabe Qadr ko talash karna hai yaani ibadat kar ke Apne Rab ko Raazi karna hai,. Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik de ,.. ameen

Tafseeli Jankari ke liye is Audio Bayan ka Muta’ala kare

Shab e qadr ki dua in hindi

आप ramzan mubarak के पाक महीने में आइये देखें कुछ new, top, Latest, attitude, Ramzan shab e qadr for Whatsapp,  Ramzan ka Teesra Ashra ki Dua, रमजान शब् इ क़द्र व Urdu, Hindi, English, sanskrit, Tamil, Telugu, Marathi, Punjabi, Gujarati, Kannada, Malayalam, Nepali के Language व Font में साल 2007, 2008, 2009, 2010, 2011, 2012, 2013, 2014, 2015, 2016, 2017, 2023 के अनुसार बधाई सन्देश, शुभकामनाये, इमेजेज, उद्धरण, messages, msg, एसएमएस हिंदी फॉण्ट, हिंदी और उर्दू शायरी,विशेष पिक्स, फोटो, एसएमएस, साहरी, sayaree, Quotes, Status, Poem के Image, SMS, Messages, Wishes, Wallpapers, Photos, Pictures, वॉलपेपर आदि जिन्हे आप फेसबुक, व्हाट्सप्प पर अपने दोस्त व परिवार के लोगो के साथ साझा कर सकते हैं|

ALLAH Rabbul Aalameen Qur’an-E-Kareem Me Ishard Farmata Hai
“Beshaq ! Ise Hamne Shabe Qadr Me Utara Aur Tumne Kya Jaana Kya Shabe Qadr. Shabe Qadr Hazaar (1000) Mahino Se Behtar. Usme Farishte Aur Jibrail Utarte Hai. Apne Rab Ke Huqm Se Har Kaam Ke Liye. Wah Salaamati Hai Subah Chamakne Tak.”
(Surah Qadr, Para 30, Aayat 1-5, Tarzuma: Kanzul Imaan)

“Haa ! Meem ! Kasam Us Roshan Kitab Ki. Beshaq Humne Use Barkatwali Raat Me Utara. Beshaq ! Haan Dar Sunanewale Hai. Tumhare Rab Ki Tarafse Rehmat Beshaq Wahi Sunta Janta Hai.”
(Surah Dukhan, Para 25, Aayat 1-6, Tarzuma: Kanzul Imaan)

 Yeh Woh Raat Hai Jisme ALLAH (Subhanahu Wa Ta’ala) Ne Poore Qur’an Ko Al Lawh al Mahfuz Se Baytul Izzah Jo Pehle Aasman Par Hai Waha Utara.

Is Raat Mein Kiye Jaane Wali Ibaadat, Achche Aamaal, 1000 Mahino* Mein Kiye Gaye Achche Aamaal Ke Barabar Hai.

*1000 Mahine = 83 Saal Aur 4 Maah (Mahine). Hamari Average Zindagi 60 Se 70 Saal Ki Hai.

Yaani Is Raat Mein Kiye Gaye Ibaadat Ke Sawaab, 83 Saal Aur 4 Maah Mein Kiye Gaye Ibaadat Ke Barabar Hai.

ALLAH Hume Poori Zindagi Ibaadat Karne Ka Sawaab Ek Hi Raat Me Ataa Kar Raha Hai.

Is Raat Mein Masjid Me Qayam Kare, Zikr-E-Ilahi Kare, Qur’an Padhe, Durood-O-Salaam Padhe Aur Du’a Kare, ALLAH Se Maafi Maange Aur Maghfirat Ki Talab Kare.

Laylatul Qadr Ramzan Ke Aakhri Dus Raaton Ki Taak Raato Mein Se Kisi Ek Raat Mein Hoti Hai.
(21st 23rd 25th 27th Ya Aakhri Raat 29th)

Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya:
“Shabe Qadr Ko Ramzan Ki Aakhri Ashre Ki Taak Raaton Mein Dhoondo”
(Sahih Al-Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2023 )

“Laylat al-Qadr Ko, 21, 23, 25, 27 Aur 29 Ki Raaton Mein Dhoondo”
(Sunan At-Tirmidhi, Kitaab As Saum, Hadith No. 794)

Note:
Yaad Rahe Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ka Farmaan Hai Ke,
“Laylat al-Qadr Ko, 21, 23, 25, 27 Aur 29 Ki Raaton Mein Dhoondo”
Laylatul Qadr In 5 Raaton Mein Se Koi Ek Raat Hai.

Ulma-E-Ahle Sunnat Ka Ye Farman Hai Ki Shabe Qadr 27 Ki Taak Raat Hai. Kyunki Shabe Qadr Ki Alamaat Jo Hadees Me Hai Wo Isi Raat Me Dekhi Jaati Hai.
Hame Tamaam Taak Rato Me Ibadate Karni Chahiye. Kyunki Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ramzan Ke Aakhri 10 Dino Me Sabse Jyada Ibadat Karte. Lihaza Hame 27vi Shab Ko To Qayam (Shab Bedari) Karna Hi Hai Sath Me 21, 23, 25 Aur 29 Me Bhi Shab Bedari Karni Chahiye Ki Hame Sawab Mile. Aur ALLAH Hamare Gunaho Ko Muaf Karde Aur Hamari Magfirat Farmaye.

Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,
“Jo Koi Laylatul Qadr Mein Imaan Aur Ehtesaab Ke Saath Namaaz Mein Khada Rahe Uske Pichle Saare Gunaah Maaf Kar Diye Jaate Hai.”
(Sahih Al Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2014)

27 ramzan shab e qadr sms

5. Laylatul Of Qadr Ki Dua:
Hazrate Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Ne Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Se Poocha,
“Agar Muhje Maloom Hojaye Ke Shab-E-Qadr Kaunsi Raat Hai To Kya Du’a Karu?
Sarkare Do Aalam (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,
“ Allahumma innak Afuwwun Tuhibbul Afwa Wa Fa’afu Anni ”
“Aye ALLAH, Tu Maaf Karne Wala Hai, Aur Maaf Karne Ko Pasand Karta Hai, Lehaza Mujhe Maaf Kar De.”
(Jami`At Tirmidhi, Kitaab Ad Dua, Hadith 3513)
6. Farishte Is Raat Mein Ahle Imaan Ko Salaam Arz Karte Hai.
(Tafseer Ibn Katheer)

•Shabe Qadr Is Tarah Ibadate Kare:

1. Quran-E-Kareem Ki Tilawat Kare.

2. Jinki Qaza Namaze Baki Hai Wo Qazaye Umari Ada Kare. Jinke Jimme Koi Namaze Qaza Nahi Hai Wo Nawafil Padhe.

3. Jab Masjid Me Dakhil Ho To Is Tarah Niyat Karke Phir Dakhil Ho. “Nawaytu Sunnatul Etikkaf” Jab Tak Aap Masjid Me Rahenge Insha ALLAH Aapke Naam-E-Aamal Me Farishte Nekiya Likhte Rahenge. Islami Behene Ghar Me Ek Jagah Mukarrar Karle Ibadat Ke Liye Aur Niyat Kar Us Jagah Ibadat Kare.

4. Durood Sharif Kasrat Se Padhe.

5. Shabe Qadr Ki Dua Khaas Hai Ye Bhi Kasrat Se Padhe:

“Allahumma innak Afuwwun Tuhibbul Afwa Wa Fa’afu Anni.”

6. Ba Kasrat Ye Kalme Padhe:

“SubhanAllahi Wabihamdihi SubhanAllahil Azeem”
Ye Kalme ALLAH Rabbul Aalamin Ko Behad Pasand Hai. Hadeese Pak Me Hai Ke Ye Kalme Mizan Par Wazani Honge. Roze Qayamat Padhnewale Ke Nama-E-Amaal Me Nekiyon Ke Pahad Honge. Insha ALLAH.

7. 21 Martaba Surah Qadr Ki Tilawat Kare. Is Raat Me Sure Qadr Ki Tilawat Ki Badi Fazilate Hai.

8. 21 Martaba Surah Ikhlas Ki Tilawat Kare.

9. Astagfar Ki Tasbeeh Padhe.

“Astagfirullah Rabbimin Kulli Zambiw Wa Atoobu Ialaih”

10. Aayat-E-Kareema Ki Tasbeeh Padhe.

لَآ اِلٰهَ اِلَّآ اَنتَ سُبحٰنَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِینَ

“Lailaha Illa Anta Subhanaka Inni Kuntu Minazalimin”

Apni Anmol Duao Ke Chand Alfaz Is Nachiz Ke Naam Karna Na Bhoole.

Ramzan shab e qadr images

Ramzan shab e qadr images

Alla humma be haqqe hazal qura’ane wa be haqqe man arsaltahu behi wa be haqqe kulle mu’minin madahtahu feehe wa be haqqeka alaehim fala ahada aarafo be haqqeka minka.

10 times: beka ya Allah-ho (swt),
10 times: be-Mohammad-in (pbuh&hf),
10 times: be-Ali-in (a.s.),
10 times: be-Fatima-ta (a.s.),
10 times: bil-Hasan-e (a.s.),
10 times: bil-Hussain-e (a.s.),
10 times: be-Ali ibn-il-Hussain-e- (.a.s),
10 times: be-Mohammad ibn-e-Ali-in (a.s.),
10 times: be-Jaffer ibn-e-Mohammad-in (a.s.),
10 times: be-Moosa ibn-e-Jaffer-in (a.s.),
10 times: be-Ali ibn-e-Moosa (a.s.),
10 times: be-Mohammad ibn-e-Ali-in (a.s.),
10 times: be-Ali ibn-e-Muhammad-in (a.s.),
10 times: bil Hassan ibn-e-Ali-in (a.s.),
10 times: bil-Hujjat il-Qayyam-e (a.s.)

Ramzan shab e qadr dua

साथ ही जानिये ramadan shab e qadr namaz, 29 ramzan shab e qadr nawafil, ramadan shab e barat, shab e qadr 21 ramzan, shab e qadar 23 ramzan, 27 ramzan shab e qadr nawafil in urdu, shab e qadar 27th ramadan, ramzan shab e qadr 2023 , ramzan shab e qadr urdu, ramzan shab e qadr namaz, ramzan shab e qadr dua, ramzan shab e qadr 2023 , ramzan shab e barat

Shab-E-Qadr Me Qayam Karne Ka Azr-O-Sawab:

Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,
“Jo Koi Laylatul Qadr Mein Imaan Aur Ehtesaab Ke Saath Namaaz Mein Khada Rahe Uske Pichle Saare Gunaah Maaf Kar Diye Jaate Hai.”
(Sahih Al Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2014)

Ramadan shab e qadr sms

“Aur Wah Jo Raat Qatte Hai Apne Rab Ke Liye Qayaam Me Aur Wah Jo Arz Karte Hai Aye Hamare Rab ! Hamse Pherde Jahannam Ka Azaab. Beshaq ! Uska Azaab Gale Ka Gul Hai”
(Surah Al Furkan, Para 19, Aayat 64, Tarzuma: Kanzul Imaan)

“Beshaq ! ALLAH Use Nahi Bakshta Ki Uske Sath Kufr Kiya Jaye Aur Kufr Se Niche Jo Kuch Hai Jise Chahe Maaf Farma Deta Hai. Aur Jisne Khuda Ka Shariq Thehraya Usne Bade Gunah Ka Tufaan Bandha.”
(Surah An Nisa, Para 5, Aayat 48, Tarzuma: Kanzul Imaan)

About the author

admin